baDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din
mizaj puchhe to koi ahl-e-karam kisi din
wo bhiga chehra sabhon se haT kar sawal puchhe
hamari aankhon ki aag hogi na kam kisi din
hamare maslak ka aadmi kya kahega hum ko
jo Dhal gae maslahat ke sanche mein hum kisi din
hamare mabain bad-gumani ki inT kaisi
mile jo mauqa to puchhen tujh se sanam kisi din
jo aaine mein tumhaare jage wo aks rakh lo
ye bhiD parchhaiyon ki hogi na kam kisi din
tumhein bhi hum zindagi ki koi salah denge
samajh gae dhup-chhanw apni jo hum kisi din
hamare hisse ki raushni tum jagae rakhna
ki tirgi ke safar se lauTenge hum kisi din
Ghazal
BaDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din
Nazim Sultanpuri