اردو हिंदी
BaDi hi andheri Dagar hai miyan | Shaahi Shayari
baDi hi andheri Dagar hai miyan

Ghazal

BaDi hi andheri Dagar hai miyan

Saleem Shirazi

;

baDi hi andheri Dagar hai miyan
jahan hum faqiron ka ghar hai miyan

hai fursat to kuchh der mil baiThiye
judai se kis ko mafar hai miyan

gharaunde yahan ret ke mat banao
ki sail-e-hawa zor par hai miyan

kabhi but-shikan the par ab KHud-shikan
ye ilzam bhi apne sar hai miyan

to phir kaj-kulahi pe israr kyun
agar sang-bari ka Dar hai miyan

koi bach nikalne ki surat nahin
ye aaseb har moD par hai miyan

to phir ruKH badalne se kya faeda
muqaddar jab andha safar hai miyan