baDi hairat se arbab-e-wafa ko dekhta hun main
KHata ko dekhta hun aur saza ko dekhta hun main
abhi kuchh der hai shayad mere mayus hone mein
abhi kuchh din fareb-e-rahnuma ko dekhta hun main
KHuda malum dil ko justuju hai kin jaziron ki
na jaane kin sitaron ki ziya ko dekhta hun main
ye kya gham hai mere ashaar ko nam kar diya kis ne
ye dil mein kis samundar ki ghaTa ko dekhta hun main
'zamir' ek qaid-e-na-mahsus ko mahsus karta hun
kisi nadani-e-zanjir-e-pa ko dekhta hun main
Ghazal
BaDi hairat se arbab-e-wafa ko dekhta hun main
Syed Zameer Jafri