baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka
phir uDa ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka
kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka
kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke KHwab ka
na ata-e-duKHtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas
jo chaDhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka
sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa
mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka
mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami
sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka
do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye
mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka
main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham
magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle KHat ke jawab ka
ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai KHun ki kashid hai
yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha KHana-KHarab ka
zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan
sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka
Ghazal
BaDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka
Anjum Irfani