baDi dilchaspiyon se subh-e-sham-e-zindagi hogi
main dekhunga unhen aur sari duniya dekhti hogi
kuchh aise dard se furqat mein main ne hath uThae hain
dua bhi kaamyabi ki duaen mangti hogi
sar-e-mahshar hijab o shauq ka ek marka hoga
unhen apni paDi hogi mujhe apni paDi hogi
na karte hashr ko ruswa kabhi din ke ujale mein
KHabar kya thi teri furqat ki raat itni baDi hogi
tajjub kya lage gar aag ai 'simab' sine mein
hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi
Ghazal
BaDi dilchaspiyon se subh-e-sham-e-zindagi hogi
Seemab Akbarabadi