baDi danai se andaz-e-ayyari badalte hain
badalte mausamon mein jo wafadari badalte hain
girani ho ki arzani unhen to mil hi jate hain
zarurat jab bhi hoti hai wo darbari badalte hain
zarurat aise ahl-e-dil ki hai ab mere logon ko
jo tartib-e-rumuz-e-zindagi sari badalte hain
talluq kya faqiran-e-haram ka shahryaron se
hum aise log kab apni wafadari badalte hain
asir-e-maslahat KHud ho gae wo jo ye kahte the
purani maslahat hain suraten sari badalte hain
chalo ek bar phir dar-o-rasan ki aazmaish ho
chalo ek bar phir rasm-e-sitam-gari badalte hain
Ghazal
BaDi danai se andaz-e-ayyari badalte hain
Sultan Rashk