baDhti jati hai meri us ki chah
sach hai hoti hai dil ko dil se rah
us dahan o kamar ki mat puchho
kaam karti nahin kisi ki nigah
marte hain intizar mein us ke
aa bhi jae kahin wo ya-allah
us ki zulf-e-siyah hai ek bala
is bala se KHuda hi dewe panah
khinch kar mujh pe ghair ko mari
aafrin aafrin jazak-allah
hai shab-e-zulf ka tamashai
kyun na 'joshish' ka howe roz siyah
Ghazal
BaDhti jati hai meri uski chah
Joshish Azimabadi