baDhte hain KHud-ba-KHud qadam azm-e-safar ko kya karun
zer-e-qadam hai kahkashan zauq-e-nazar ko kya karun
tez hai karwan-e-waqt tishna hai justuju abhi
rok lun zindagi kahan sham-o-sahar ko kya karun
dair-o-haram ke rang bhi dekh chuki nigah-e-zist
dil mein to hai wahi chubhan aah-e-sahar ko kya karun
aaj bhi hai wahi maqam aaj bhi lab pe un ka nam
manzil be-shumar gam apne safar ko kya karun
yaad kisi ki aa gai ho gai dhundli kaenat
parde mein chhup gaya koi dida-e-tar ko kya karun
kitni umidon ke charagh rah mein bujh ke rah gae
apne to panw thak gae shauq-e-safar ko kya karun
ho gai zindagi ki sham 'salik'-e-rah thak gae
manzilen dur ho gain rah-e-guzar ko kya karun
Ghazal
BaDhte hain KHud-ba-KHud qadam azm-e-safar ko kya karun
Salik Lakhnavi