baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue
mere harif tumhaari dua se kam na hue
siyah raat mein dil ke muhib sannaTe
KHarosh-e-naghma-e-shola-nawa se kam na hue
watan ko chhoD ke hijrat bhi kis ko ras aai
masail un ke wahan bhi zara se kam na hue
faraaz-e-KHalq se apna lahu bhi barsaya
ghubar phir bhi dilon ki faza se kam na hue
buland aur lawen ho gain ummidon ki
diye wafa ke tumhaari jafa se kam na hue
bhanwar mein Dub ke tariKH ban gae goya
safine ishq ke sail-e-bala se kam na hue
hamare zehn bhaTakte rahe KHalaon mein
safar nasib ke zanjir-e-pa se kam na hue
sada bahaar KHayaban-e-arzu tha 'zafar'
lahu ke phul hamari qaba se kam na hue
Ghazal
BaDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue
Zafar Moradabadi