اردو हिंदी
BaDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista | Shaahi Shayari
baDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista

Ghazal

BaDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista

Abroo Shah Mubarak

;

baDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista
ki jun kar garm ho hai aaftab aahista aahista

kiya KHat nen tere mukh kun KHarab aahista aahista
gahan jun mah kun leta hai dab aahista aahista

laga hai aap sin ai jaan tere aashiq ka dil rah rah
kare hai mast kun be-KHud sharab aahista aahista

dil aashiq ka kali ki tarah khilta jae KHush ho ho
ada sin jab kabhi khole naqab aahista aahista

laga hai 'abru' mujh kun 'wali' ka KHub ye misra
sawal aahista aahista jawab aahista aahista