baDha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi
hum aae kya ki teri anjuman mein aag lagi
zara jo us ne haTai naqab chehre se
giri wo barq ki sab anjuman mein aag lagi
barabar aaj KHabar ashk-e-garm late hain
ghazab ki qasr-e-dil-e-pur-mehan mein aag lagi
ye tera wahshi-e-atish-nafas jahan pahuncha
pahaD jal ke hue KHak ban mein aag lagi
jala raha hai ye kah kah ke dam-ba-dam sayyaad
tujhe KHabar bhi hai bulbul chaman mein aag lagi
kamal-e-husn ki garmi se mujh ko hairat hai
ki aaj tak na mere pairahan mein aag lagi
jab aah-e-garm chali dil se sath dauDe ashk
hua yaqin ki kaam-o-dahan mein aag lagi
chahaar samt se le le ke pani abr aaya
khile jo phul to jaana chaman mein aag lagi
jahan paDhe gae ashaar tere garma-garm
'rashid' mahfil-e-ahl-e-suKHan mein aag lagi
Ghazal
BaDha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi
Rasheed lakhnavi