baDha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista
hamein yaad aae sab ahl-e-karam aahista aahista
dil-e-muztar ki betabi ka aalam kaisa aalam hai
khincha jata hai dil su-e-sanam aahista aahista
chala hun manzil-e-jaanan main kuchh aise tassur se
nazar sharminda sharminda qadam aahista aahista
nigah-e-lutf kis ki ho gai mere muqaddar par
ye kis ka ho gaya husn-e-karam aahista aahista
mohabbat karne ka hum ko sila achchha mila ai dil
simaT aae mere daman mein gham aahista aahista
haqiqat mein agar puchho bahaaran-e-gulistan ka
chaman walon ne toDa hai bharam aahista aahista
kahan tak zabt karte bazm ki kotah-bini ko
'mubin' uThna paDa ba-chashm-e-nam aahista aahista
Ghazal
BaDha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista
Syed Mubeen Alvi Khairabadi