baDha jo dard-e-jigar gham se dosti kar li
lahu jo aankh se Tapka to shaeri kar li
kisi charagh se shikwa nahin kiya main ne
jalaya KHun-e-jigar aur raushni kar li
main naz kyun na karun apne TuTe KHwabon par
ki KHud-kushi bhi inhonne KHushi KHushi kar li
wo ek KHata hamein barbaad kar diya jis ne
maza ye dekho ki phir se KHata wahi kar li
na tum mile na tumhaari koi KHabar aai
tumhaare shahr mein din guzra raat bhi kar li
hai pyar se hi 'ziya' zindagani mein raunaq
to ye na kahiye ki barbaad zindagi kar li
Ghazal
BaDha jo dard-e-jigar gham se dosti kar li
Subhash Pathak Ziya