اردو हिंदी
BaDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur | Shaahi Shayari
baDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur

Ghazal

BaDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur

Ghulam Murtaza Rahi

;

baDha jab us ki tawajjoh ka silsila kuchh aur
KHushi se phail gaya gham ka daera kuchh aur

natija dekh ke mana mere masiha ne
kuchh aur dard tha mera hui dawa kuchh aur

main apne aap ko kis aaine mein pahchanun
ki ek aks mera kuchh hai dusra kuchh aur

agar kahin koi diwar samne aai
buland ho gaya pani ka hausla kuchh aur

kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai
dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur

natija dekhne sunne ke baad ye nikla
bayan-e-waqia kuchh amr-e-waqia kuchh aur

guzar muhaal na hota hamara basti mein
jo uThtin chhoD ke diwaren rasta kuchh aur