baDha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi
ghazab ki aag lagi hai zara bujhae koi
paDi hai dil ko mere KHud bhi aadat-e-fariyaad
ye chheDta hai har ek ko ki phir satae koi
sunae jate hain hum qissa-e-gham-e-furqat
KHuda kare ki na mahfil mein muskurae koi
taDap wo hijr ki thi ab ye maut ki hai taDap
jo dekhna ho to ab aa ke dekh jae koi
jinhen ye dekh ke tab aati hai wo aur hain log
hum apne munh ko phiraate hain muskurae koi
Ghazal
BaDha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi
Javed Lakhnvi