اردو हिंदी
BaDha do dard ki lau aur kam hai mere liye | Shaahi Shayari
baDha do dard ki lau aur kam hai mere liye

Ghazal

BaDha do dard ki lau aur kam hai mere liye

Nazim Naqvi

;

baDha do dard ki lau aur kam hai mere liye
abhi ye ishq mein pahla qadam hai mere liye

jahan jahan se hain wabasta KHwab logon ke
wo har maqam bahut mohtaram hai mere liye

miTate jaoge tum darj karte jaenge hum
tumhaare waste KHanjar qalam hai mere liye

har ek lamha teri justuju mein KHarch hua
mujhe ye lagta tha mera janam hai mere liye

main apni rah ki KHud raushni banun to banun
koi KHuda hai na koi sanam hai mere liye