baDh rahi hai dil ki dhaDkan aandhiyon dhire chalo
phir koi TuTe na darpan aandhiyon dhire chalo
ye chaman sara ka sara aaj-kal KHatre mein hai
har taraf hai aag dushman aandhiyon dhire chalo
ek yug ke baad baadal ka naya aanchal mila
KHush bahut hai aaj sawan aandhiyon dhire chalo
likh rahi hai KHushbuon ko KHat kamal ki pankhuDi
khil uTha hai jhil ka man aandhiyon aandhiyon dhire chalo
sari sansen aandhiyan hain aur main murthal ki ret
aur baDh jati hai uljhan aandhiyon dhire chalo
sath in pachhua hawaon ka bahut achchha nahin
kah raha purwai ka man aandhiyon dhire chalo
ye jo phulon ka nagar tha is mein hi kanTon se ab
bhar gaya har ek aangan aandhiyon dhire chalo
jag gae to zahr bhar denge fazaon mein 'kunwar'
khul na jaen sanp ke phan aandhiyon dhire chalo
Ghazal
BaDh rahi hai dil ki dhaDkan aandhiyon dhire chalo
Kunwar Bechain