baDh rahe hain sham ke mauhum sae chal paDo
zindagi ki lash kandhon par uThae chal paDo
KHair-maqdam kar rahi hain Thokaren kis shan se
panw ke chhaale ye kah kar muskurae chal paDo
oDh lo sar par dukanon daftaron ke saeban
jaan-lewa hain makanon ke kirae chal paDo
phir qudum-e-shauq ko chhune lagi aawargi
phir bulawe kucha-e-jaanan se aae chal paDo
aaj TuTi hai lab-e-ehsas se mohar-e-sukut
aaj tanhai ne talwe gudgudae chal paDo
muD ke mat dekho zamane ko ki but ban jaoge
aankh miche hath bandhe sar jhukae chal paDo
waqt ke sahra mein nange panw Thahre ho 'salim'
dhup ki shiddat yakayak baDh na jae chal paDo
Ghazal
BaDh rahe hain sham ke mauhum sae chal paDo
Sardar Saleem