baDh gai wahshat bahaar-e-fitna-saman dekh kar
hans raha hun KHud-baKHud chaak-e-gareban dekh kar
kaun tum ko rokta hai han magar kahta ye hun
dil mein nashtar do hujum-e-dagh-e-arman dekh kar
kya kahun chhiTke hue baalon ne kya Dhaya ghazab
dil pareshan ho gaya zulf-e-pareshan dekh kar
raat-bhar shabnam hi kya roti rahi gulzar mein
ro diye hum bhi gulon ka chaak daman dekh kar
do tum itna gham ki aasani se jitna uTh sake
aazmao taqat-e-bimar-e-hijran dekh kar
Ghazal
BaDh gai wahshat bahaar-e-fitna-saman dekh kar
Jauhar Nizami