baDh gai mai pine se dil ki tamanna aur bhi
sadqa apna saqiya yak jam-e-sahba aur bhi
ek to main aap naseh hun pareshan KHasta-jaan
dil dukha deti hai teri pind-e-beja aur bhi
dastan-e-shauq-e-dil aisi nahin thi muKHtasar
ji laga kar tum agar sunte main kahta aur bhi
kuchh to pahle se dil-e-betab tha wahshi-mizaj
be-tire din raat ghabraata hai tanha aur bhi
dekhte hi dekhte 'taslim' wo chhupne lage
baDh gaya be-pardagi mein mujh se parda aur bhi
Ghazal
BaDh gai mai pine se dil ki tamanna aur bhi
Amirullah Tasleem