baDe sukun se KHud apne ham-saron mein rahe
jab aaina-sifat insan pattharon mein rahe
bhala wo kaise jaraem ke hath kaTenge
jo sahme simTe se KHud apne bistaraon mein rahe
nafas nafas tha bikharne ka silsila jari
barae nam hi mahfuz hum gharon mein rahe
hamari nukta-rasi is qadar giran guzri
ki ban ke KHar hamesha nazar-waron mein rahe
sahife fikr-o-nazar ke jo de gae tartib
wahi to sher-o-suKHan ke payambaron mein rahe
uThae dosh pe maslub hasraton ki lash
hum apne shahr ke KHun-bar manzaron mein rahe
tarash kar nai tahzib ke sanam hum log
ba-sad waqar zamane ke aazaron mein rahe
Ghazal
BaDe sukun se KHud apne ham-saron mein rahe
Anwar Minai