baDe shabab pe dard-e-firaq-e-masti hai
na ho sharab to pahron ghaTa barasti hai
na shama roti hai aa kar na barq hansti hai
main jab se qabr mein hun bekasi barasti hai
sune to kaun sune mai-kade mein waiz ki
yahan wahi hain jinhen shaghl-e-mai-parasti hai
main saKHt-jaan nahin KHanjar bhi tez hai lekin
nigah-e-yas hai qatil ki tez-dasti hai
bhare huon ko bhara karte hain karam wale
jahan hai sabza ghaTa bhi wahin barasti hai
ghalat hai zer-e-nagin ho ke dawa-e-wusat
bas ek halqa-e-KHatam faza-e-hasti hai
hazar KHwahish-e-dil hai magar na mangunga
subu-e-mau-kada par waqt-e-tang-dasti hai
main sun ke aaya tha aabaadi-e-adam lekin
koi nazar nahin aata ye kaisi basti hai
chaman na dekh nasheman ko dekh ai bulbul
bahaar hi mein kabhi aag bhi barasti hai
jalaun shama to aaKHir jala ke dekhun kya
har ek raat yahan shaghl-e-gham-parasti hai
nahin hai dahr mein yar ai dam-zadan 'saqib'
bas ek sans mein tai majra-e-hasti hai
Ghazal
BaDe shabab pe dard-e-firaq-e-masti hai
Saqib Lakhnavi