اردو हिंदी
BaDe KHulus se daman pasarta hai koi | Shaahi Shayari
baDe KHulus se daman pasarta hai koi

Ghazal

BaDe KHulus se daman pasarta hai koi

Shaz Tamkanat

;

baDe KHulus se daman pasarta hai koi
KHuda ko jaise zamin par utarta hai koi

na puchh kya tere milne ki aas hoti hai
kahan guzarti hai kaise guzarta hai koi

baja hai shart-e-wafa shart-e-zindagi bhi to ho
bacha sake to bacha le ki haarta hai koi

wo kaun shaKHs hai kya nam hai KHuda jaane
andheri raat hai kis ko pukarta hai koi

tamam ishq ki jagir ho gai duniya
teri nigah pe duniya ko warta hai koi

charagh rakh ke sar-e-sham dil ke zine par
mujhe KHabar nahin hoti sudhaarta hai koi

ye sar ka bojh nahin dil ka bojh hai ai 'shaz'
kahan utarta hai lekin utarta hai koi