baDe KHulus se daman pasarta hai koi
KHuda ko jaise zamin par utarta hai koi
na puchh kya tere milne ki aas hoti hai
kahan guzarti hai kaise guzarta hai koi
baja hai shart-e-wafa shart-e-zindagi bhi to ho
bacha sake to bacha le ki haarta hai koi
wo kaun shaKHs hai kya nam hai KHuda jaane
andheri raat hai kis ko pukarta hai koi
chala hun phir sipar-e-tab-e-gham uThae hue
nashat-e-wasl ke raste pe marta hai koi
charagh rakh ke sar-e-sham dil ke zina par
mujhe KHabar nahin hoti sudhaarta hai koi
ye sar ka bojh nahin dil ka bojh hai ise 'shaz'
kahan utarta hai lekin utarta hai koi
Ghazal
BaDe KHulus se daman pasarta hai koi
Shaz Tamkanat