baDe KHatre mein hai husn-e-gulistan hum na kahte the
chaman tak aa gai diwar-e-zindan hum na kahte the
bhare bazar mein jins-e-wafa be-abru hogi
uThega e'tibar-e-ku-e-jaanan hum na kahte the
usi mahfil usi bazm-e-wafa ke goshe goshe mein
luTegi masti-e-chashm-e-ghazalan, hum na kahte the
isi raste mein aaKHir wo kaDi manzil bhi aaegi
jahan dam toD degi yaad-e-yaran hum na kahte the
KHizan ki aahaTon par kanpti hain pattiyan gul ki
bikharne ko hai ab zulf-e-bahaaran hum na kahte the
dil-e-fitrat-shanas aaKHir kahin yunhi dhaDakta hai
fareb-e-husn hai jashn-e-charaghan hum na kahte the
Ghazal
BaDe KHatre mein hai husn-e-gulistan hum na kahte the
Saifuddin Saif