baDe hi naz se laya gaya hun
main kandha de kar uThwaya gaya hun
farishto yun na mujh se pesh aao
sandesa bhej bulwaya gaya hun
KHabar jis ki thi wo sare manazir
qarib-e-marg dikhlaya gaya hun
ganwai zindagi ki subh kaise
ba-waqt-e-sham batlaya gaya hun
jahan se pai hai sab ne fazilat
usi kuche se main aaya gaya hun
mile bhar bhar ke sab ko jam lekin
main ek qatre ko tarsaya gaya hun
ba-zahir to girai ek imarat
darun-e-zat mein Dhaya gaya hun
'obaid' is baat ki mujh ko KHushi hai
main duniya se alag paya gaya hun
Ghazal
BaDe hi naz se laya gaya hun
Obaidur Rahman