baDe ajib hain duniya ke ye nasheb-o-faraaz
koi paDhe kahan ja kar mohabbaton ki namaz
jahan mein kuchh nahin milta siwa adawat ke
magar nazar mein nahin hai koi bhi us ka jawaz
tamam zindagi is justuju mein guzri hai
na khul saka kisi surat bhi zindagi ka raaz
bas ek nigah mein wo dil ko chhin lete hain
kahan se lae koi un ka ye hasin andaz
kisi bhi haal mein guzre ye zindagi apni
magar na dast-e-talab ho sakega hum se daraaz
kisi ka bhi nahin ab eatibar duniya mein
kahen to kis ko kahen hum jahan mein hamraaz
Ghazal
BaDe ajib hain duniya ke ye nasheb-o-faraaz
Karan Singh Karan