baDe adab se ghurur-e-sitam-garan bola
jab inqalab ke lahje mein be-zaban bola
takoge yunhi hawaon ka munh bhala kab tak
ye na-KHudaon se ek roz baadban bola
chaman mein sab ki zaban par thi meri mazlumi
mere KHilaf jo bola to baghban bola
yahi bahut hai ki zinda to ho miyan-sahab
zamana sun ke mere gham ki dastan bola
hisar-e-jabr mein zinda badan jalae gae
kisi ne dam nahin mara magar dhuan bola
asar hua to ye taqrir ka kamal nahin
mera KHulus muKHatab tha main kahan bola
kaha na tha ki nawazenge hum 'hafiz' tujhe
uDa ke wo mere daman ki dhajjiyan bola
Ghazal
BaDe adab se ghurur-e-sitam-garan bola
Hafeez Merathi