اردو हिंदी
Badan sundar sajal mukh par sinhapa | Shaahi Shayari
badan sundar sajal mukh par sinhapa

Ghazal

Badan sundar sajal mukh par sinhapa

Nasir Shahzad

;

badan sundar sajal mukh par sinhapa
bahut anmol hai us ka sarapa

safar ki ibtida bhi intiha bhi
wahi luTa khasuTi aapi-dhapa

to dewi hai na main autar phir bhi
tujhe har jug janam mein ji ne japa

jharokon se agar paDosi na jhanken
abhagan tu bata hi le ranDapa

sakhi ri ho na ho sayyan hai mera
milan sur jis ne murli mein alapa

kabhi paTe chaDhe jal teri KHatir
kabhi tapte bayabanon ko napa

chali thi KHuld se tu sath tanha
yahan aa kar bani man beTi aapa

gulabi ho gai wo sar se pa tak
alaw par jab us ne hath tapa

taja tha sowarg kyun sab yaad aaya
pakki gandum ko jab daranti se kapa

kabhi tu muD ke to dekhegi pichhe
kabhi to khaegi raste pe thapa

piya ab to palaT aa dekh aai
safedi sar pe chehre par buDhapa

jo garje wo nahin barse kahin bhi
kiya jo tu ne to us ki saza pa