اردو हिंदी
Badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai | Shaahi Shayari
badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai

Ghazal

Badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai

Salim Saleem

;

badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai
so ta-hadd-e-nazar wahm o guman phaila hua hai

hamare panw se koi zamin lipTi hui hai
hamare sar pe koi aasman phaila hua hai

ye kaisi KHamushi mere lahu mein sarsarai
ye kaisa shor dil ke darmiyan phaila hua hai

tumhaari aag mein KHud ko jalaya tha jo ek shab
abhi tak mere kamre mein dhuan phaila hua hai

hisar-e-zat se koi mujhe bhi to chhuDae
makan mein qaid hun aur la-makan phaila hua hai