badan se ruh ham-aghosh hone wali thi
phir is ke baad subuk-dosh hone wali thi
nasib paDh ke mera ilm-e-ghaib ki dewi
yaqin jaaniye behosh hone wali thi
na sirf tegh ki pi kar mere lahu ki sharab
zamin-e-dasht bhi madhosh hone wali thi
nigar-KHana-e-dil mein ye dhaDkanon ki ghaDi
tere na aane se KHamosh hone wali thi
main ek laDka wafa-dariyon ka parcham-dar
wo ek laDki jafa kosh hone wali thi
meri jawani talash-e-maash mein 'hashim'
watan se dur faramosh hone wali thi
Ghazal
Badan se ruh ham-aghosh hone wali thi
Hashim Raza Jalalpuri