badan-sarab na dariya-e-jaan se milta hai
to phir ye KHwab-kinara kahan se milta hai
ye dhup chhanw salamat rahe ki tera suragh
hamein to saya-e-abr-e-rawan se milta hai
hum ahl-e-dard jahan bhi hain silsila sab ka
tumhaare shahr ke aashuftagan se milta hai
jahan se kuchh na mile to bhi faede hain bahut
hamein ye naqd usi aastan se milta hai
faza hi sari hui surKH-ru to hairat kya
ki aaj rang-e-hawa gul-ruKHan se milta hai
bichhaD ke KHak hue hum to kya zara dekho
ghubar ja ke usi karwan se milta hai
Ghazal
Badan-sarab na dariya-e-jaan se milta hai
Ahmad Mahfuz