badan qubul hai uryaniyat ka mara hua
magar libas na pahnenge hum utara hua
wo jis ke surKH ujale mein hum munawwar the
wo din bhi shab ke taaqub mein tha guzara hua
panah-e-gah-e-shajar fath kar ke soya hai
masafaton ki thakan se ye jism haara hua
mujhe zamin ki parton mein rakh diya kis ne
main ek naqsh tha aflak pe ubhaara hua
KHaridne ke liye us ko bik gaya KHud hi
main wo hun jis ko munafe mein bhi KHasara hua
sama gaya mere pairon ke aablon mein 'salim'
chalo ki aaj se ye KHar bhi hamara hua
Ghazal
Badan qubul hai uryaniyat ka mara hua
Saleem Siddiqui