badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai
mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai
ye shahr-e-sajda-guzaran dayar-e-kam-nazaran
yatim-KHana-e-idrak ke siwa kya hai
tamam gumbad-o-minar-o-mimbar-o-mehrab
faqih-e-shahr ki imlak ke siwa kya hai
khule saron ka muqaddar ba-e-faiz-e-jahl-e-KHirad
fareb-e-saya-e-aflak ke siwa kya hai
tamam umr ka hasil ba-fazl-e-rabb-e-karim
mata-e-dida-e-namnak ke siwa kya hai
ye mera dawa-e-KHud-bini-o-jahan-bini
meri jihaalat-e-saffak ke siwa kya hai
jahan-e-fikr-o-amal mein ye mera zom-e-wajud
faqat numaish-e-poshak ke siwa kya hai
Ghazal
Badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai
Himayat Ali Shayar