badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai
jise bacha ke rakha hai bahut sambhaala hai
tumhein dikhaun main shahr-e-jadid ka naqsha
ye DeDh inT ki masjid hai ye shiwala hai
tamam raikon mein rakkhi hui kitabon mein
tumhein KHabar nahin fikr-o-nazar ka jala hai
muhib andhere mein raushan KHayal logon par
na jaane agle hi pal kya guzarne wala hai
jahan bhi ubhri sada-e-zamir-e-insani
jadidiyat ke naqibon ne mar Dala hai
faza mein uDte hue aur laDkhaDate hue
parind-e-KHasta ka ek aaKHiri sambhaala hai
Ghazal
Badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai
Jamal Owaisi