badan par sabz mausam chha rahe hain
magar arman sab murjha rahe hain
purane gham kahan hijrat karenge
dukanon par nae gham aa rahe hain
ghalatiyan agle waqton se hui hain
magar sadiyon se hum pachhta rahe hain
yahan hai boriya ab bhi nadarat
bahut din baad wo ghar aa rahe hain
miyan bairun-o-baatin ek rakkho
munafiq bhi hamein samjha rahe hain
samajhte hain abhi wo tifl-e-maktab
khilaunon se hamein bahla rahe hain
ghalazat mein paDi hai ruh jin ki
libason ko bahut chamka rahe hain
bhanwar ka hukm hai dariya pe jari
kinare naw se katra rahe hain
karun kis kis ka matam bari bari
KHazane Dubte hi ja rahe hain
Ghazal
Badan par sabz mausam chha rahe hain
Zafar Sahbai