badan mein jag uThi kapkapahaTen kaisi
main sun raha hun ye farda ki aahaTen kaisi
makin ko yaad hazimat ki dastan hai magar
to us ke ghar mein hain ye jagmagahaTen kaisi
shikast-e-dil ka jo ehsas ab bhi zinda hai
to phir ye honTon pe hain muskurahaTen kaisi
wajud TuT raha ho to kaisi naghmagari
jo dil sukun se na ho gungunahaTen kaisi
faraaz-e-dar muqaddar bane ki zahr ka jam
dayar shauq mein ab hichkichahaTen kaisi
samajh ke sang jise chhu liya badan to na tha
ragon mein dauD gain sarsarahaTen kaisi
qubul-e-am ka mansab jo mere fan ko mila
to doston ko huin tilmilahaTen kaisi
Ghazal
Badan mein jag uThi kapkapahaTen kaisi
Murtaza Birlas