badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen
jinnon ki bholi hui rasm ka iada karen
tamam agle zamanon ko ye ijazat hai
hamare ahd-e-guzashta se istifada karen
unhen agar mari wahshat ko aazmana hai
zamin ko saKHt karen dasht ko kushada karen
chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge
ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen
suna hai sachchi ho niyyat to rah khulti hai
chalo safar na karen kam se kam irada karen
Ghazal
Badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen
Manzoor Hashmi