اردو हिंदी
Badan ko phunkti hain naghma-KHwaniyan pyare | Shaahi Shayari
badan ko phunkti hain naghma-KHwaniyan pyare

Ghazal

Badan ko phunkti hain naghma-KHwaniyan pyare

Salahuddin Nadeem

;

badan ko phunkti hain naghma-KHwaniyan pyare
surud-e-ishq na chheDen jawaniyan pyare

ye barg-e-zard ki bikhre paDe hain rahon mein
yahi hain mausam-e-gul ki nishaniyan pyare

qadam qadam gham-e-hijran ki be-panahi mein
suna rahi hai mohabbat kahaniyan pyare

koi umid na hoti to ji bahal jata
rula rahi hain teri mehrbaniyan pyare

charagh-e-hijr jalati rahi hain sari raat
sharik-e-haal meri KHun-fishaniyan pyare

khila rahi hain gul-e-zaKHm dida-o-dil mein
karishma-saz teri dilsitaniyan pyare

har ek taraf se lapakta hai dil pe kaunda sa
ki tere husn ki hain qahar-maniyan pyare

dikha rahi hain tujhe be-shumar aaine
meri nigah ki ye bad-gumaniyan pyare

tujhe kuchh aur bhi afsurda dekhte hain 'nadim'
tujhe to ras nahin shadmaniyan pyare