badan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai
ye faisla hai fana ho ke zinda rahna hai
yahi nahin ki mere gird khinchni hain haden
mere KHuda ne KHuda ho ke zinda rahna hai
hazaron log the tauq-e-ana sajae hue
faqat mujhe hi riha ho ke zinda rahna hai
mujhe to KHair shab-e-hijr mar Dalegi
tumhein to mujh se juda ho ke zinda rahna hai
durust hai ki judai mein maut aa jae
magar ye kya ki KHafa ho ke zinda rahna hai
kisi ko maut na aai kisi ke marne par
sabhi ne dukh se siwa ho ke zinda rahna hai

Ghazal
Badan ko jaan se juda ho ke zinda rahna hai
Najmus Saqib