اردو हिंदी
Badan ko chhu len tere aur surKH-ru ho len | Shaahi Shayari
badan ko chhu len tere aur surKH-ru ho len

Ghazal

Badan ko chhu len tere aur surKH-ru ho len

Nitin Nayab

;

badan ko chhu len tere aur surKH-ru ho len
bikharna hi hai to hum kyun na mushkbu ho len

chalen hain ishq ki karne agar ibaadat hum
baha ke ashk zara pahle ba-wazu ho len

chhupa ke KHwabon KHayalon ko dil ke goshe mein
zara si der haqiqat se ru-ba-ru ho len

baras gae to bhala aab ke siwa kya hain
un aansuon ki hai qimat ki jo lahu ho len

kitab-e-dil ko waraq-dar-waraq dikha denge
zara hum aap se tum aur tum se tu ho len

na mujh mein main hi rahun aur na tujh mein tu hi rahe
milen kuchh aise ki donon hi hu-ba-hu ho len

safar wafa ka adhura adhura hai jaan lo 'nayab'
ki jab talak na dil-o-jaan lahu lahu ho len