badan ko apni bisat tak to pasarna tha
har ek shai ko lahu ke raste guzarna tha
jidhar fasilon ne us ko moDa ye muD gai hai
hawa ki maujon mein koi kaunda utarna tha
to kya sabab sat paniyon ko na pi sake hum
KHud apna Duba hua jazira ubhaarna tha
main apne andar simaT gaya ek lamha ban kar
kahin to apne janam ka manzar guzarna tha
tum aa gae kyun wajud ki ye baraat le kar
hamein to apni ragon mein shamshan utarna tha
yahan se kaT kar wo ja ke jangal mein so gai hain
usi bahane hawaon ko khel haarna tha
na brij TuTe na aankh jhapki na waqt bita
na jaane kya kuchh bisarna tha kya bisarna tha
Ghazal
Badan ko apni bisat tak to pasarna tha
Chandra Parkash Shad