badan ki rakh se raushan sharara kar ke dekhunga
main apni jaan ko ab ke sitara kar ke dekhunga
wo tanha justuju bechain si rahti hai aankhon mein
qayamat aa bhi jae to gawara kar ke dekhunga
qaza aksar mere kuche se be-parda guzarti hai
use bhi khelte hanste ishaara kar ke dekhunga
ye socha hai lab-e-larzan pe rakh kar tishnagi sari
tujhe bhi ai samundar istiara kar ke dekhunga
na chhat hogi na dar hoga na sahn-e-yar ka gosha
main shahr-e-afiyat mein yun guzara kar ke dekhunga
badan kashti bhanwar KHwahish irada baadban jaisa
junun-dariya chalo KHud ko kinara kar ke dekhunga
safar mein KHair-o-shar ke baad wo manzil bhi aaegi
jahan 'KHurshid' apna goshwara kar ke dekhunga
Ghazal
Badan ki rakh se raushan sharara kar ke dekhunga
Khursheed Akbar