badan ki qaid se bahar Thikana chahta hai
ajib dil hai kahin aur jaana chahta hai
abhi dikhao na taswir-e-zindagi is ko
ye bachpana hai abhi muskurana chahta hai
har ek rut nahin bhati hamari aankhon ko
hamara KHwab bhi mausam suhana chahta hai
ghuTan ho dil mein to phir shaeri nahin hoti
ghazal ka sher faza shairana chahta hai
tere baghair bhi zinda hun dekh le ai dost
ab aur kya tu mujhe aazmana chahta hai
main in amiron ki aankhon mein yun khaTakta hun
ki mujh gharib ko sara zamana chahta hai
main jaan nisar karun us pe chahta hun magar
wo aasman se sitare mangana chahta hai
in aandhiyon ko yahi KHauf khae jata hai
'faraaz' phir se diya ek jalana chahta hai
Ghazal
Badan ki qaid se bahar Thikana chahta hai
Mujahid Faraaz