اردو हिंदी
Badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa | Shaahi Shayari
badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa

Ghazal

Badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa

Akbar Haidri

;

badan ki aanch se chehra nikhar gaya kaisa
ye meri ruh mein shoala utar gaya kaisa

hazar aankhon se main us ka muntazir aur wo
mere qarib se ho kar guzar gaya kaisa

ye kis hawa ki ana toDti rahi hum ko
hamare KHwabon ki KHirman bikhar gaya kaisa

dikha ke ek jhalak chand ho gaya ojhal
chaDha na tha ki ye dariya utar gaya kaisa

kis aaftab se tarsil-e-nur jari hai
dhanak ka rang zamin par bikhar gaya kaisa

na apne qad ka na apne hajm ka hai ehsas
KHala ka dasht subuk-bar kar gaya kaisa

kisi guman ke sahra mein kaisi KHak uDi
kisi yaqin ka partaw ubhar gaya kaisa

wo tira-chashm ki suraj se bad-guman raha
KHud apne sae ki aahaT se Dar gaya kaisa