اردو हिंदी
Badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun | Shaahi Shayari
badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun

Ghazal

Badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun

Abbas Tabish

;

badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun
main kuza-gar hun aur miTTi ka karobar karta hun

meri KHandaq mein us ke qurb ki qindil raushan hai
mere dushman se kah dena main us se pyar karta hun

kahin to reg-e-KHufta ki tarah pani mein paD rahta
waraq-gardani-e-sahra main kyun be-kar karta hun

uThae phir raha hun hasrat-e-tamir ki inTen
jahan saya nahin hota wahin diwar karta hun

jahan bhi sham-e-tan jae muhafiz sanp ki surat
main apni rezgari ki wahin ambar karta hun

usi ko samne pa kar usi ko bhinch kar 'tabish'
sukut-e-na-shanasi ko suKHan-asar karta hun