badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga
main suraj ban ke ek din apni peshani se niklunga
nazar aa jaunga main aansuon mein jab bhi rooge
mujhe miTTi kiya tum ne to main pani se niklunga
tum aankhon se mujhe jaan ke safar ki mat ijazat do
agar utra lahu mein phir na aasani se niklunga
main aisa KHub-surat rang hun diwar ka apni
agar nikla to ghar walon ki nadani se niklunga
zamir-e-waqt mein paiwast hun main phans ki surat
zamana kya samajhta hai ki aasani se niklunga
yahi ek shai hai jo tanha kabhi hone nahin deti
'zafar' mar jaunga jis din pareshani se niklunga
Ghazal
Badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga
Zafar Gorakhpuri