badan ka kaam thoDa hai magar mohlat ziyaada hai
so jo ghaflat ziyaada thi wahi ghaflat ziyaada hai
hamein is aalam-e-hijran mein bhi ruk ruk ke chalna hai
unhen jaane diya jae jinhen ujlat ziyaada hai
na jaane kab kisi chilman ka hum nuqsan kar baiThen
hamein chehra-kushai ki zara ruKHsat ziyaada hai
kabhi main KHud ziyaada hun tan-e-tanha ki wahdat mein
kabhi meri zarurat se meri wahdat ziyaada hai
tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya mein
so ai zanjir-e-pa yun bhi teri shohrat ziyaada hai
ye dil bahar dhaDakta hai ye aankh andar ko khulti hai
hum aise marhale mein hain jahan zahmat ziyaada hai
main qarnon ki tarah bikhra paDa hun donon waqton mein
meri jalwat ziyaada hai meri KHalwat ziyaada hai
so hum fariyaadiyon ki ek apni saf alag se ho
hamara masala ye hai hamein hairat ziyaada hai

Ghazal
Badan ka kaam thoDa hai magar mohlat ziyaada hai
Naseem Abbasi