badan hai sabz aur shadab lekin ruh pyasi hai
mere andar hazaron banjh peDon ki udasi hai
kisi ke dil se ab jazbaat ka rishta nahin qaem
hansi bhi maslahat-amez aansu bhi siyasi hai
pae-izhaar kuchh aisa nahin hai jo anokha ho
har ek jazba purana hai har ek ehsas basi hai
hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai
paDe hain Dher sare kaam aur mohlat zara si hai
simaT kar rah gai hai wusat-e-duniya hatheli bhar
hamara masala ab bhi hamari KHud-shanasi hai
laga hun main 'talab' is sach ko jhuTlane mein barson se
main kal aaqa tha jis ka ab mere beTe ki dasi hai

Ghazal
Badan hai sabz aur shadab lekin ruh pyasi hai
Khurshid Talab