badalti rut pe hawaon ke saKHt pahre the
lahu lahu thi nazar dagh dagh chehre the
ye raaz khul na saka harf-e-narsa pe mere
sadaen tez bahut thin ki log bahre the
wo pujne ki siyasat se KHub waqif tha
wahi chaDhae jo gende ke zard sehre the
jo bhai lauT ke aae kabhi na dariya se
unhin ke bazu qawi the badan ikahre the
usi sabab se mera aks TuT TuT gaya
us aaine mein kai aur bhi to chehre the
samundaron ka wo pyasa tha aur os thi main
wo abr lauT gaya jis ke lab sunahre the
in aanchalon pe koi sajda-rez ho na saka
ki jin ke rang bahut shoKH aur gahre the
samaaton ke dhundlakon mein kho gae 'shabnam'
wo sare lafz jo palkon pe aa ke Thahre the

Ghazal
Badalti rut pe hawaon ke saKHt pahre the
Rafia Shabnam Abidi